bahut dinon se kisi ke gulu ka pyasa hai bacho ki khanjar-e-qatil lahu ka pyasa hai shabab apna chhupa le to mere daman mein har ek shakhs teri aabru ka pyasa hai jawan hua hai meri shafqaton ke sae mein wo shakhs aaj jo mere lahu ka pyasa hai wo aam chehron ka mushtaq ho nahin sakta jo zauq-e-did kisi khub-ru ka pyasa hai abhi bhi gunj rahi hai faza mein teri sada abhi bhi zehn teri guftugu ka pyasa hai