bahut dushwar hai rasta hamara
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
bahut dushwar hai rasta hamara
nahin kar paoge pichha hamara
rula dega use hansna hamara
use ma'lum hai qissa hamara
tasalli de rahe hain chaaragar ko
samajh lo haal hai kaisa hamara
tumhaari copy ne khali karaya
kitabon se bhara basta hamara
bichhadne wala mud kar dekh leta
to hum ko ghar to mil jata hamara
khuda hafiz agar tum kah ke jate
to kuchh din kaam chal jata hamara
button bas shirt mein ek tank dete
to sab ghussa utar jata hamara
chalo sajhe mein bazm-e-dil sajaen
sajawat aap ki kharcha hamara
nahin kar paoge pichha hamara
rula dega use hansna hamara
use ma'lum hai qissa hamara
tasalli de rahe hain chaaragar ko
samajh lo haal hai kaisa hamara
tumhaari copy ne khali karaya
kitabon se bhara basta hamara
bichhadne wala mud kar dekh leta
to hum ko ghar to mil jata hamara
khuda hafiz agar tum kah ke jate
to kuchh din kaam chal jata hamara
button bas shirt mein ek tank dete
to sab ghussa utar jata hamara
chalo sajhe mein bazm-e-dil sajaen
sajawat aap ki kharcha hamara
15079 viewsghazal • English