bahut ghutan hai bahut iztirab hai maula hamare sar pe ye kaisa azab hai maula suna tha main ne yahi din hain phul khilne ke mere liye to ye mausam kharab hai maula koi batae hamari samajh se bahar hai kise gunah kahen kya sawab hai maula azal se teri zamin par khade hain tere ghulam saron pe un ke wahi aaftab hai maula gunah jitne bhi mere hain sab shumar mein hain tera karam to magar be-hisab hai maula kuchh aur zillat-o-ruswaiyan muqaddar hon 'shamim' waise bhi khana-kharab hai maula