bahut jabin-o-ruKH-o-lab bahut qad-o-gesu

bahut jabin-o-rukh-o-lab bahut qad-o-gesu
talab hai shart-e-sukun ke hazar-ha pahlu

jo be-khudi hai salamat to mil hi jaega
bara-e-fursat-e-andesha yar ka zanu

hazar dasht-e-bala halqa-e-asar mein hain
mera junun hai ki chashm-e-ghazal ka jadu

ye raaz khol diya teri kam-nigahi ne
sukun ki ek nazar dard ke bahut pahlu

saba hazar kare bu-e-gul ki aamezish
na dab sakegi tere jism-e-naz ki khushbu

ek iztirab-e-hasin hai fishaar-e-tangi-e-mai
kanar-e-shauq mein tu hai ki dam mein aahu

bahut hai ahl-e-basirat ko ek jalwa bhi
wafur-e-tishna-labi ho agar to kham hai subu

junun aur ahl-e-junun ka wo qaht hai 'tabish'
utha na dasht se phir koi nara-e-yahu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close