bahut jumud hai tari koi khayal zara naya sa lafz meri khak par uchhaal zara wo tu hi hai ki main bikhra hun samne jis ke tu kam-nasib nahin hai mujhe sambhaal zara bichhadte waqt ye khwahish kahan thi na-jaez use bhi hota hamari tarah malal zara nahin jo manta khud ko ki be-misal hai tu tu apne jaisi dikha de koi misal zara hansi mein tal de phir se hamari har khwahish phir ek bar thapak de hamara gal zara main khud ko rakh na kar dun ye dar satata hai hisar-e-jism se bahar mujhe nikal zara