bahut jumud tha be-hauslon mein kya karta na lagti aag to main jangalon mein kya karta ek imtihan-e-wafa hai ye umr bhar ka azab khada na rahta agar zalzalon mein kya karta ho chob gili to aakhir jalae kaun us ko main tujh ko yaad bujhe walwalon mein kya karta meri tamam hararat zamin ka wirsa hai ye aaftab tere baadalon mein kya karta ab is qadar bhi taraf-dar main nahin us ka himayat us ki ghalat-faislon mein kya karta ye log wo hain jo be-jurm sangsar hue harif rah ke tere manchalon mein kya karta main us ke chehre ki rangat nahin jo ud na sakun samet kar wo mujhe aanchalon mein kya karta adab se rabta danish ka jaanta hi nahin ulajh ke wo bhi mere masalon mein kya karta na ras aai kabhi mujh ko bazm-e-kam-nazaran 'faza' bhi baith ke in pagalon mein kya karta