bahut se zamin mein dabae gae hain bahut un ke aashiq jalae gae hain hamesha se aashiq satae gae hain hamein kya nae yan jalae gae hain andhera na hone diya wasl ki shab wo shamon pe shamen jalae gae hain nahin be-sabab un ko mujh se rukawat bahut hi sikhae padhae gae hain nahin wasl ki in se farmaish aasan bahut munh bigade banae gae hain adaon ke namon ke ghamzon ke mujh par bahut chor pahre bithae gae hain nigahon ki chhuriyan adaon ke khanjar bahut mere dil par lagae gae hain ladaya hai shah de ke logon ne hum ko bahut roz naqshe jamae gae hain main nalan na tha tere jaur-o-jafa se zamane ke dil kyun dukhae gae hain dil-o-dida do ghar hain tashrif laen sanware gae hain sajae gae hain ye duniya hai is mein hamesha se insan bigade gae hain banae gae hain bani-adam aaza-e-yak-digar-and ki mitti se hum tum banae gae hain zamin se hi aae zamin hi mein jaana isi se bigade banae gae hain hamin par nahin zulm duniya mein 'parwin' bahut log yan aazmae gae hain