bahut si aankhen lagin hain aur ek khwab tayyar ho raha hai haqiqaton se muqable ka nisab tayyar ho raha hai tamam duniya ke zakhm apne bayan qalam-band kar rahe hain meri sawaneh-hayat ka ek bab tayyar ho raha hai bahut se chand aur bahut se phul ek tajrabe mein lage hain kab se suna hai tum ne kahin tumhaara jawab tayyar ho raha hai chaman ke phulon mein khun dene ki ek tahrik chal rahi hai aur is lahu se khizan ki khatir khizab tayyar ho raha hai purani basti ki khidkiyon se main dekhta hun to sochta hun naya jo wo shahr hai bahut hi kharab tayyar ho raha hai khule hue hain fana ke daftar mein sab anasir ke goshware ki aasmanon mein ab zamin ka hisab tayyar ho raha hai main jab kabhi us se puchhta hun ki yar marham kahan hai mera to waqt kahta hai muskura kar janab tayyar ho raha hai badan ko jaana hai pahli bar aaj ruh ki mahfil-e-tarab mein to aisa lagta hai jaise koi nawab tayyar ho raha hai is imtihan ke sawal aate nahin nisabon se maktabon ke ajib aashiq hai ye jo padh kar kitab tayyar ho raha hai junun ne barpa kiya hai sahra mein shahr ki taziyat ka jalsa to 'farhat-ehsas' bhi ba-chashm-e-pur-ab tayyar ho raha hai