bahut tha naz jin par hum unhin rishton pe hanste hain hamin kya rasm-e-duniya hai ki sab apnon pe hanste hain hum aise log diwaron pe hansne ke nahin qail magar jab ji mein aata hai to darwazon pe hanste hain diwana kar gaya aakhir hamein farzana-pan apna ki jin logon ko rona tha hum un logon pe hanste hain ab is ko zindagi kahiye ki ahd-e-be-hisi kahiye gharon mein log rote hain magar raston pe hanste hain yahan apna paraya kuchh nahin khushbu pe mat jao galon mein padne wale phul guldaston pe hanste hain samajhne wale kya kya kuchh samajhte hain 'sharar'-sahab rag-e-mani phadakti hai to hum lafzon pe hanste hain