bahut wasi’ tha lekin simaT gaya hun main
By zubair-shifaiOctober 7, 2023
bahut wasi’ tha lekin simat gaya hun main
ba-yak-qalam kai hisson mein bat gaya hun main
meri bisat hai ek mauja-e-hawa yani
misal-e-safha-e-tarikh ulat gaya hun main
samajh raha hai udhar wo sutun-e-charkh-o-zamin
idhar ye haal ki mehwar se hat gaya hun main
tawalat-e-safar-e-dasht yak-qadam thahri
ki phir shuru’ ki jaanib palat gaya hun main
zarur ‘ishq mein aamezish-e-hawas hai 'zubair'
kabhi-kabhaar jo khud se lipat gaya hun main

77191 viewsghazal • English