bahut zamin bahut aasman milenge tumhein pa hum se khak ke putle kahan milenge tumhein kharid lo abhi bazar mein nae hain hum ki baad mein to bahut hi garan milenge tumhein ab ibtida-e-safar hai to jo hai kah sun lo hum us ke baad na jaane kahan milenge tumhein jo raste mein mile koi masjid-e-viran to hum wahin kahin waqt-e-azan milenge tumhein hum intiha mein milenge gar ibtida mein nahin nahin wahan bhi to phir darmiyan milenge tumhein thahar hi jaenge aakhir kahin janab-'ehsas' par apne sher mein yun hi rawan milenge tumhein