bahut zi-fahm hain duniya ko lekin kam samajhte hain! ajab qissa hai sab kuchh jaan kar mubham samajhte hain hawaen tez-tar hain aaj baadal aane wale hain tadapte sard jhonkon ko bhi sab mausam samajhte hain zamin karwat badalti hai nae rangon mein dhalti hai nujumi kis tarah duniya ke pech-o-kham samajhte hain falak ghaeb hua ye chand tare khak-dan se hain inhen bhi log ek duniya naya aalam samajhte hain bahut dana-e-raaz aae hazaron nukta-dan aae samajhne ke liye wo zindagi ko gham samajhte hain hui takhliq kaise aaj tak koi nahin samjha nikale kab gae ye hazrat aadam samajhte hain na koi ashk-shoi hai na chehra zard hai 'baqar' hamari khamushi ko phir bhi wo matam samajhte hain