baithe baithe jo hum ai yar hanse aur roe aa gaya yaad to ek bar hanse aur roe sher-e-tar padhne se yaron mein hamein kya hasil magar itna hai ki do-chaar hanse aur roe shadi o gham ki jo uth jae jahan se rah-o-rasm phir to koi bhi na zanhaar hanse aur roe na-tawani ne kiya us ko to naqsh-e-qalin kya teri chashm ka bimar hanse aur roe 'mushafi' raat mein afsana-e-dil kahta tha sun ke ham-sae kai bar hanse aur roe