baiThe baiThe main gulistan bhi ho jata hun

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
baithe baithe main gulistan bhi ho jata hun
chand minton mein bayaban bhi ho jata hun
apni aankhon pe yaqin aata nahin hai mujh ko
aaina dekh ke hairan bhi ho jata hun


ai charagho mujhe tum ankh dikhana chhodo
kabhi aandhi kabhi tufan bhi ho jata hun
main riyazi ki tarah lagta hun mushkil lekin
thodi koshish se main aasan bhi ho jata hun


main kisi baat pe hairan nahin hota kyon
main isi baat pe hairan bhi ho jata hun
bhul jata hun kahin rakh ke main aksar khud ko
dhundte dhundte halkan bhi ho jata hun


mere andar bhi kabhi chalti hai zahrili hawa
shahr hun par kabhi viran bhi ho jata hun
apne honton pe laga leta hun main qufl 'kamal'
main kabhi aankh kabhi kan bhi ho jata hun


42937 viewsghazalEnglish