baithe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai wo hansti aankhen puchhti hain ye kitna gahra pani hai betab hawa ke jhonkon ki fariyaad sune to kaun sune maujon pe tadapti kashti hai aur gunga bahra pani hai har mauj mein giryan rahta hai girdab mein raqsan rahta hai betab bhi hai be-khwab bhi hai ye kaisa zinda pani hai basti ke gharon ko kya dekhe buniyaad ki hurmat kya jaane sailab ka shikwa kaun kare sailab to andha pani hai is basti mein is dharti par sairabi-e-jaan ka haal na puchh yan aankhon aankhon aansu hain aur dariya dariya pani hai ye raaz samajh mein kab aata aankhon ki nami se samjha hun is gard-o-ghubar ki duniya mein har chiz se sachcha pani hai