baja ki dushman-e-jaan shahr-e-jaan ke bahar hai magar main us ko kahun kya jo ghar ke andar hai tamam naqsh parindon ki tarah utre hain ki kaghazon pe khile paniyon ka manzar hai main ek shakhs jo kumbon mein rah gaya bat kar main musht-e-khak jo taqsim ho ke be-ghar hai shajar kata to koi ghonsla kahin na raha magar ek udta parinda faza ka zewar hai wo khauf hai ki makin apne apne kamron mein hain wo haal hai ki bayaban mein wusat-e-dar hai kahin bhi ped nahin phir bhi patthar aae hain gali mein koi nahin phir bhi shor-e-mahshar hai main is wasia jazire mein wahid insan hun ki mere chaaron taraf dasht ka samundar hai koi bhi khwab na unchi fasil se utra magar kiran ke guzarne ko rauzan-e-dar hai tamam raushaniyan bujh gai hain basti mein magar wo dip ki jis ka hawaon mein ghar hai kisi se mujh ko gila kya ki kuchh kahun 'akhtar' ki meri zat hi khud raste ka patthar hai