bana durdana-e-tasbih yaad-e-haq mein har aansu
By piyare-lal-raunaq-dehlwiFebruary 28, 2024
bana durdana-e-tasbih yaad-e-haq mein har aansu
ye e'jaz-e-'ibaadat hai musalsal dekhte jao
munawwar har ghadi kashana-e-dil apna rahta hai
khayal-e-yar ki raushan hai mash'al dekhte jao
taqaza-e-junun hai nakhun-e-wahshat ko badhne do
ye honge 'uqda-e-dushwar sab hal dekhte jao
asar hai mere har tar-e-nafas mein tar-e-barqi ka
khabar har sans ki milti hai pal-pal dekhte jao
du'a-e-mai-parastan rang lai mo'jiza ho kar
umand aae hain rahmat ban ke baadal dekhte jao
bichhae hain adab ne manzil-e-dushwar mein kante
ye rah-e-'ishq tai karni hai paidal dekhte jao
lagi hain hazrat-e-zahid ki nazren su-e-mai-khana
na jae aaj chori koi botal dekhte jao
junun mein hasraten hain sainkadon wabasta-e-wahshat
nazar aa jaega jangal mein mangal dekhte jao

32278 viewsghazal • English