bana ke KHud ko mohabbat mein ba-wafa rakhiye
By abdullah-minhaj-khanMay 18, 2024
bana ke khud ko mohabbat mein ba-wafa rakhiye
ghamon ka daur bhi aae to hausla rakhiye
khulus-e-qalb se miliye har ek se lekin
ta'alluqat mein thoda sa fasla rakhiye
taraqqiyon ki bulandi pe aap rahiye magar
sabhi se milne milane ka silsila rakhiye
kisi pe ungli uthane se pahle behtar hai
khud apne chehre ke aage ek aaina rakhiye
agarche hashr ki ruswaiyon se bachna hai
bana ke khud ko zamane mein parsa rakhiye
sitam ke daur mein jine ke waste 'minhaj'
nazar ke samne maidan-e-karbala rakhiye

87377 viewsghazal • English