banao jo bhi tumhein kuchh naya banana hai mujhe to apna sa kuchh dusra banana hai badan se sae sabhi apne yakja karke mujhe safar mein dhup ke ek qafila banana hai banao manzilon se manzilon ko tum logon mujhe to raste se rasta banana hai use banana tha jo wo bana chuka pahle hamari mitti se ab aur kya banana hai banao khud ko zara mukhtalif zamane se jo mere dil ko dil-e-mubtala banana hai