band hoti kitabon mein udti hui titliyan dal din kis ki rasmon ki jalti hui aag mein ladkiyan dal din khauf kaisa hai ye nam is ka kahin zer-e-lab bhi nahin jis ne hathon mein mere hare kanch ki chudiyan dal din hont pyase rahe hausle thak gae umr sahra hui hum ne pani ke dhoke mein phir ret par kashtiyan dal din mausam-e-hijr ki kaisi saat hai ye dil bhi hairan hai mere kanon mein kis ne teri yaad ki baaliyan dal din