bane hue hain fasil-e-nazar dar-o-diwar

By muzaffar-hanfiNovember 10, 2020
bane hue hain fasil-e-nazar dar-o-diwar
har ek taraf dar-o-diwar par dar-o-diwar
mujhe bhi dar-ba-dari mein hi lutf aata hai
meri bala se faraham na kar dar-o-diwar


hamare ghar mein to minar ban gai har int
chhaton ki had mein uthate hain sar dar-o-diwar
ghata ka kya hai baras kar nikal gai aage
yahan sisakte rahe raat bhar dar-o-diwar


hamare raaz mein shamil rahe padosi bhi
isi liye to hain diwar-o-dar dar-o-diwar
khabar na phailne pae ki ja raha hai koi
nahin to sar pe utha lenge ghar dar-o-diwar


tera badan to salamat hai ai 'muzaffar' phir
ye kis ke khun se hain tar-ba-tar dar-o-diwar
71843 viewsghazalEnglish