bante hain roz roz fasane nae nae
By bhagwan-khilnani-saqiFebruary 26, 2024
bante hain roz roz fasane nae nae
hote hain log roz diwane nae nae
aaenge is ke ba'd zamane nae nae
barbaadiyon ke honge nishane nae nae
tanhaiyon mein khod ke dil aur dimagh ko
naghmon ke pae hum ne khazane nae nae
mahfil wahi hai sham' bhi parwane bhi wahi
aate hain log rang jamane nae nae
waqif nahin hain 'ishq ke rasm-o-riwaj se
hum to hue hain tere diwane nae nae
gham se hi dil mein aaegi jazbaat par bahaar
niklenge phul ban ke tarane nae nae
har mah-jabin ke naz-o-ada hain alag alag
milte hain 'ashiqi ke bahane nae nae
mai-khana band ho gaya 'saqi' to kya hua
kar lenge mai-gusar thikane nae nae

25713 viewsghazal • English