bante rahe hain dil mein ajab gard-baad se rangon ko aazma na sake e'timad se ye aur baat aable honton pe pad gae dahliz chum li hai magar e'tiqad se barson ki be-zaban thakawat lipat gai jab shahr-e-dil mein laut ke aae jihad se sarson ki chandni se barahna darakht tak har shai ki dilkashi nikhar aai tazad se kuchh khush-dahan rafiq kahin bich bich mein mera bhi zikr karte rahe hain inad se phir aaj ek shakl tarashi hai soch ki dil ki gupha mein harf ke kachche mawad se 'sajjad' koi hila ki lau de uthe ye dil dam ghut raha hai khun ke is injimad se