baqi jo log hain kahin hote

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
baqi jo log hain kahin hote
shahr mein bas tumhin makin hote
raste sab agar hasin hote
fasle paida hi nahin hote


hae wo aasman bhi kya tha
main ne dekha jise zamin hote
tu hi tu hai teri kahani mein
kash hum bhi kahin kahin hote


ye sutun aandhiyon mein kyon girte
gar zara aur tah-e-zamin hote
bas mein hoti jo gardish-e-dauran
tum jahan hote hum wahin hote


pyar kya sirf ji-huzuri hai
aap naraaz kyon nahin hote
phul itra rahe hain khushbu par
kash tum bhi yahin kahin hote


ye bhi sach hai ki ru-baru tere
hum jo hote hain wo nahin hote
98186 viewsghazalEnglish