baqi sab ko harana paDta hai

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
baqi sab ko harana padta hai
us ko tanha jitana padta hai
chadaren ye kahan samajhti hain
hum ko qad bhi badhana padta hai


jo bhi chahe kharid le hum ko
bas gale se lagana padta hai
'ishq mein ghar banane se pahle
ghar ka malba banana padta hai


pyas aasani se nahin banti
pahle dariya banana padta hai
us ki hairani ke baghair hamein
qissa aage badhana padta hai


roz bahar ki chhat-patahat ko
apne andar khapana padta hai
60200 viewsghazalEnglish