barabar jism ko dhamka rahi hai

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
barabar jism ko dhamka rahi hai
hamari maut kah kar aa rahi hai
chalo thoda bahut to so liye hum
magar ab aur susti chha rahi hai


mohalle bhar ki khamoshi ka matlab
meri aawaz bahar ja rahi hai
udasi kar rahi hai apna 'adi
abhi sharten nahin manwa rahi hai


samajh lo ho chuka hai kaam aasan
agar wo mushkilen ginwa rahi hai
jise nadan samjha tha wo ladki
badi mushkil se dhoka kha rahi hai


hamin is jang ko haare nahin hain
tumhaari saltanat bhi ja rahi hai
65812 viewsghazalEnglish