barae-zeb us ko gauhar-o-akhtar nahin lagta wo khud ek chand hai aur chand ko zewar nahin lagta khudaya yun bhi ho ki us ke hathon qatl ho jaun wahi ek aisa qatil hai jo pesha-war nahin lagta agar aariz-parasti ka amal ek jurm banta hai saza bhi kat lenge katne se dar nahin lagta mohabbat tir hai aur tir baatin chhed deta hai magar niyyat ghalat ho to nishane par nahin lagta rais-e-shahr ho kar bhi wo itna jhuk ke milta hai ki us ke samne koi bhi qad-awar nahin lagta