baras baras se mujhe intizar tha jis ka
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
baras baras se mujhe intizar tha jis ka
palak jhapakne se pahle wo lamha bit gaya
sahar talak koi aaya na sath ke ghar mein
baramde mein koi raat bhar tahalta raha
main aankhen band kiye jagta raha shab bhar
ki koi khwab kisi bhule-bisre lamhe ka
phir us ka nam hai kyon zinat-e-dar-o-diwar
wo ek shakhs jo ab tere shahr mein na raha
dabe qadam utar aai hai raat pedon par
wo so ke uththa koi jugnu aankh malta hua
garan guzarta hai behad ye sans ka uljhaw
hamare raste mein aur fasle na bichha
sada bhi dega mulaqat ka tamannai
khula na chhod ke baith apne ghar ka darwaza
meri bayaz se kate hain kis ne she'r 'jamal'
ye mere ba'd mere ghar mein kaun aaya tha

34673 viewsghazal • English