baras gaya ba-kharabaat-e-arzu tera gham qadah qadah teri yaaden subu subu tera gham tere khayal ke pahlu se uth ke jab dekha mahak raha tha zamane mein chaar-su tera gham ghubar-e-rang mein ras dhundhti kiran teri dhun giraft-e-sang mein bal khati aab-e-ju tera gham nadi pe chand ka partaw tera nishan-e-qadam khat-e-sahar pe andheron ka raqs tu tera gham nakhil-e-zist ki chhanw mein nai-ba-lab teri yaad fasil-e-dil ki kalas par sitara-ju tera gham tulu-e-mahr shagufta sahar siyahi-e-shab teri talab tujhe pane ki aarzu tera gham nigah uthi to zamane ke samne tera rup palak jhuki to mere dil ke ru-ba-ru tera gham