barha KHud ko badalne ka irada kar ke
By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
barha khud ko badalne ka irada kar ke
yar main thak gaya ye kaam ziyaada kar ke
apne rahne ki jagah bhi na mujhe mil pai
main ne dekha hai bahut khud ko kushada kar ke
titliyan ud gain lauta ke mohabbat meri
main ne bhi chhod diya rangon ko sada kar ke
tere na hone se kal raat andhera tha bahut
chand bhi nikla tha baadal ko libaada kar ke
us ne paiman-e-wafa jaan liya milne ko
main kab aaya tha idhar koi irada kar ke
ek bada ma'raka yun sar hua aasani se
shah ko kat diya main ne piyaada kar ke

67757 viewsghazal • English