barish ruki wabaon ka baadal bhi chhat gaya aisi chalen hawaen ki mausam palat gaya patthar pe gir ke aaina tukdon mein bat gaya kitna mere wajud ka paikar simat gaya katta nahin hai sard-o-siyah-raat ka pahad suraj tha sakht dhup thi din phir bhi kat gaya chhaalen shajar shajar se utarne ko aa gain bosida pairahan hua itna ki phat gaya talwar be-yaqini ke hathon mein aa gai apne muqable mein har ek shakhs dat gaya jab tak na chhu ke dekha tha wusat thi aap mein dekha to chhui-mui ka pauda simat gaya saya tha bhagta tha bahut meri dhup se wo shakhs ki jo mere gale se chimat gaya