barsat ho ghataen ho aur mai-kashi na ho arman na hon shabab na ho zindagi na ho paimana ghumta hai jo aankhon ke sath sath zulfon ke sath sath ghata jhumti na ho sham-e-firaq aankh se aansu rawan rahen ai yaad-e-yar dard-e-jigar mein kami na ho marne pe ikhtiyar na jine pe ikhtiyar jabr-e-hayat uthaen magar aah bhi na ho har dam lahu se sinchiye gulshan ko ai 'kamal' rangini-e-bahaar mein koi kami na ho