barsat pyar ki wo dhuan-dhaar kar gae
By prabhat-patelFebruary 28, 2024
barsat pyar ki wo dhuan-dhaar kar gae
yaadon mein apni hum ko giraftar kar gae
phir dosti ke nam pe wo war kar gae
mansubon ka wo apne yun izhaar kar gae
dil ki zamin ko raund ke bekar kar gae
daulat ghamon ki de ke zamin-dar kar gae
de kar fareb hum ko samajh-dar kar gae
aur e'tibar se yun khabar-dar kar gae
yun mahfilon mein jaana tabi'at nahin meri
jaana pada kuchh aise wo israr kar gae
do-chaar pal hi aae khushi ke the us ke ba'd
har lamha meri zist ka dushwar kar gae

17714 viewsghazal • English