barsi hain wo aankhen ki na baadal kabhi barse andaza-e-gham kya ho magar dida-e-tar se wo chaaragari thi ki azizon ki duaen laut aai hain matam ke liye bab-e-asar se ek jabr-e-musalsal hai anasir ki kahani mukhtar kahe jate the jab nikle the ghar se shayad koi manzil nahin is rah mein padti wapas nahin aata koi yaadon ke safar se kis ishrat-e-rafta ki ye wahshat-e-asari hai dil dub gaya qurb-e-shab-e-wasl ke dar se