barson junun sahra sahra bhatkata hai ghar mein rahna yunhi nahin aa jata hai pyas aur dhup ke aadi ho jate hain hum jab tak dasht ka khel samajh mein aata hai aadat thi so pukar liya tum ko warna itne karb mein kaun kise yaad aata hai maut bhi ek hal hai to masail ka lekin dil ye suhulat lete hue ghabraata hai ek tum hi to gawah ho mere hone ke aaina to ab bhi mujhe jhutlata hai uf ye saza ye to koi insaf nahin koi mujhe mujrim hi nahin thahraata hai kaise kaise gunah kiye hain khwabon mein kya ye bhi mere hi hisab mein aata hai