barson se hun main zamzama-pardaz-e-mohabbat aai na jawaban kabhi aawaz-e-mohabbat ek dard mohabbat hai meri har rag-o-pai mein har sans hai ab mera ek aawaz-e-mohabbat har-chand ki har bazm mein thukrai gai hai aawaz-e-mohabbat hai phir aawaza-e-mohabbat mamur hain aawaz-e-mohabbat se fazaen mastur hai go sahib-e-awaz-e-mohabbat aa jae zara sina-e-afaq mein garmi ho jae zara shoala-zan aawaz-e-mohabbat ye daur hai daur-e-hawas is daur mein ai dil sunta nahin dil se koi aawaz-e-mohabbat jis shakhs ke sine mein hai dil ki jagah patthar samjhega wo kya mani-e-awaz-e-mohabbat is daur-e-tag-o-dau mein wafa kaun sunega kitni hi dil-awez ho aawaz-e-mohabbat