bas adab ki isi dastar se pahchana jaun

By wasif-farooqiNovember 24, 2020
bas adab ki isi dastar se pahchana jaun
ai ghazal main tere mear se pahchana jaun
daulat-e-nam-o-nasab mujh ko bhi hasil hai magar
chahta hun ki main kirdar se pahchana jaun


meri qimat bhi koi aa ke lagae ek roz
aur main garmi-e-bazar se pahchana jaun
mujh se tufan ulajhne ki jasarat na karen
main agar azm ki patwar se pahchana jaun


zulm ke hath pe baiat ka tasawwur ho to main
sabr aur jurat-e-inkar se pahchana jaun
meri duniya mujhe samjhe ki main kya hun 'wasif'
jis mein hun main usi sansar se pahchana jaun


18792 viewsghazalEnglish