bas ek putla tha miTTi se bana main
By farooq-noorFebruary 6, 2024
bas ek putla tha mitti se bana main
karam tera ki kya se kya hua main
teri pahchan jis din se hui hai
hun apne aap ko bhula hua main
akela hai agar koi to tu hai
jo tanha hun to hun tere siwa main
jo kuchh hota to shayad kuchh na hota
na ho ke kuchh bahut kuchh ho gaya main
hai meri zat ka 'irfan mushkil
kahin patthar kahin hun dewta main
tumhaara rang jis din se chadha hai
nazar aane laga sab se juda main
fana honi hai jab har shai yahan ki
to phir kya chiz hai tu aur kya main
thithurti sham mein jalta hua wo
sulagti raat mein bujhta hua main
nai rut mein nai thi chah hum ko
zara wo bewafa tha aur zara main
agar is shahr mein sha'ir hai koi
to pahla 'nur' hai aur dusra main
karam tera ki kya se kya hua main
teri pahchan jis din se hui hai
hun apne aap ko bhula hua main
akela hai agar koi to tu hai
jo tanha hun to hun tere siwa main
jo kuchh hota to shayad kuchh na hota
na ho ke kuchh bahut kuchh ho gaya main
hai meri zat ka 'irfan mushkil
kahin patthar kahin hun dewta main
tumhaara rang jis din se chadha hai
nazar aane laga sab se juda main
fana honi hai jab har shai yahan ki
to phir kya chiz hai tu aur kya main
thithurti sham mein jalta hua wo
sulagti raat mein bujhta hua main
nai rut mein nai thi chah hum ko
zara wo bewafa tha aur zara main
agar is shahr mein sha'ir hai koi
to pahla 'nur' hai aur dusra main
23039 viewsghazal • English