bas firaq-e-yar mein jari suKHan-araiyan

By aarif-nazeerJuly 28, 2024
bas firaq-e-yar mein jari sukhan-araiyan
hae ye pur-kaif mausam aur meri tanhaiyan
bistaron ki silwaton se lad rahe hain hum yahan
jaane wala le raha hoga kahin angdaiyan


chhat ki kadiyon se meri utre tere kitne khayal
kya teri diwar par utrin meri parchhaiyan
dil ke mausam se raha mashrut har mausam mera
kya udasi ki fazaen kya koi ra'naiyan


dard ko mahsus karne ka saliqa sikh le
dekh hi saktin nahin gham ko teri binaiyan
hum ki waqif hain shaqi-ul-qalb 'arif' se tabhi
hairati hain dekh kar us ki karam-farmaiyan


90020 viewsghazalEnglish