bas tera intizar rahta hai

By mohammad-saif-babarJune 19, 2021
bas tera intizar rahta hai
dil bada be-qarar rahta hai
rahaten kuchh to bakhsh de mujh ko
in dinon dil pe bar rahta hai


iltija hai ki ab inayat ho
dard rag rag mein yar rahta hai
wo jo nazron se tum chalate ho
tir wo aar-par rahta hai


'saif' kahte ho chain tum jis ko
wo to dariya ke par rahta hai
47529 viewsghazalEnglish