basa-auqat aa jate hain daman se gareban mein

By saail-dehlviNovember 14, 2020
basa-auqat aa jate hain daman se gareban mein
bahut dekhe hain aise josh ashk-e-chashm-e-giryan mein
nahin hai tab zabt-e-gham kisi aashiq ke imkan mein
dil-e-khun-gashta ya daman mein hoga ya gareban mein


mubarak baadiya-gardo bahaar aai bayaban mein
numud-e-rang-e-gul hai har sar-e-khar-e-mughilan mein
ziyaada khauf-e-ruswai nahin hai soz-e-pinhan mein
dhuan hota hai lekin kam charagh-e-zer-e-daman mein


hamesha pi ke mai jam o surahi tod deta hun
na mera dil tarasta hai na farq aata hai iman mein
maza kyun kawish-e-zakhm-e-jigar ka aaj kam kam hai
namak ki koi chutki rah gai hogi namak-dan mein


janab-e-qais ne dil se bhulaya donon aalam ko
junun ke chaar harfon ka sabaq lekar dabistan mein
bahaar aai mila ye hukm mujh ko aur bulbul ko
ki wo kate qafas mein khak chhanun main bayaban mein


tarannum-reziyan bazm-e-sukhan mein sun ke 'sael' ki
guman hota hai bulbul ke chahakne ka gulistan mein
29546 viewsghazalEnglish