basar yun shab-e-umr kar jaunga
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
basar yun shab-e-'umr kar jaunga
koi khwab dekhunga dar jaunga
yahi sochta ghar se dur aa gaya
koi rok lega thahar jaunga
agar ban na paegi koi jagah
to khali jagah koi bhar jaunga
wo jab chahe nazren badal sakta hai
main jab chahun us se mukar jaunga
main phir us se wa'da-khilafi ke ba'd
naya koi paiman kar jaunga
kisi aur dil mein bana lunga ghar
jab us ki nazar se utar jaunga
bhanak tak padegi na us ko zara
dabe panw yan se guzar jaunga
rahe zid pe qaem agar us ke ashk
yahi hoga ek din sanwar jaunga
ki ho rasta wapsi ke liye
main danista kuchh bhul kar jaunga
yunhi marne walon ko rote hue
'jamal' ek din main bhi mar jaunga
koi khwab dekhunga dar jaunga
yahi sochta ghar se dur aa gaya
koi rok lega thahar jaunga
agar ban na paegi koi jagah
to khali jagah koi bhar jaunga
wo jab chahe nazren badal sakta hai
main jab chahun us se mukar jaunga
main phir us se wa'da-khilafi ke ba'd
naya koi paiman kar jaunga
kisi aur dil mein bana lunga ghar
jab us ki nazar se utar jaunga
bhanak tak padegi na us ko zara
dabe panw yan se guzar jaunga
rahe zid pe qaem agar us ke ashk
yahi hoga ek din sanwar jaunga
ki ho rasta wapsi ke liye
main danista kuchh bhul kar jaunga
yunhi marne walon ko rote hue
'jamal' ek din main bhi mar jaunga
24187 viewsghazal • English