bashar ki zat ko gham se kahan mafar hai miyan hazar kahiye koi gham nahin magar hai miyan safar mein zad-e-safar hi to kaam aata hai safar ko sahl na jaano safar safar hai miyan malal kya karen dastar ke na hone ka wabaal-e-dosh yahan to khud apna sar hai miyan ba-afiyat guzar aae the har talatum se magar kinare pe ab dubne ka dar hai miyan ye zindagi jo masail se par hai aakhir tak use basar bhi to karna bada hunar hai miyan jo ponchhe bhi koi aansu to ponchhe kis kis ke har ek aankh yahan aansuon se tar hai miyan zamana ho gaya bazi-e-dil to haare hue rahi hayat so ab wo bhi daw par hai miyan hai us ka talib-e-did aaina bhi main hi nahin wo pur-kashish hai bahut jazib-nazar hai miyan khushi to hasti-e-na-moatabar na degi 'waqar' jo rishta gham se hai wo phir bhi mo'atabar hai miyan