basti mein ek gosha-e-viran hi to tha
By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
basti mein ek gosha-e-viran hi to tha
phat bhi gaya to kya hai gareban hi to tha
tum bhi zara si baat ko ghar le ke aa gae
footpath par jo mar gaya insan hi to tha
achchha hua ki chand samundar mein ja gira
ai raat hum pe ye tera ehsan hi to tha
bachchon ne tod bhi diya us ko to kya hua
mitti ka ek chhota sa guldan hi to tha
matam guzishta raat ki chori ka kya karen
kamre mein ek 'mir' ka diwan hi to tha
aankhon se ye sarab bhi bach kar nikal gaya
tuta jo raat kanch ka paiman hi to tha
mana ki dil ke pas se guzra magar 'shakil'
aakhir wo ek lamha-e-anjaan hi to tha

26004 viewsghazal • English