bata roz-marra ki zindagi tu ne ye wafa ka sila diya
By chhabi-sahaiOctober 29, 2020
bata roz-marra ki zindagi tu ne ye wafa ka sila diya
mere sath jo bhi rifaqaten thin sabhi se parda hata diya
mujhe chhedte hain wo barha jo kabhi badhate the hausla
to main kya karun mujhe manzilon ne hi raste se hata diya
mere ham-nawa mujhe aap se hain shikayaten bhi bahut si ab
ki nawazishon ke uruj pe kyon chadha chadha ke gira diya
mujhe mat dete hain mustaqil meri justuju ke ye qafile
kabhi rukh hawa ka jo sath tha usi mod pe hi jhuka diya
meri zindagi bhi tumhi se hai go karam bhi tera hai mukhtasar
mere gham ki dhund ko pyar ka tu ne sahba jo tha pila diya
saba aaj bhi ye yaqin hai jo baqa dua ki panah mein
mere rab ne jun mere aasman ko zamin par jo bichha diya

26730 viewsghazal • English