baTe rahoge to apna yunhi bahega lahu
By habib-jalibOctober 30, 2020
bate rahoge to apna yunhi bahega lahu
hue na ek to manzil na ban sakega lahu
ho kis ghamand mein ai lakht lakht dida-waro
tumhein bhi qatil-e-mehnat-kashan kahega lahu
isi tarah se agar tum ana-parast rahe
khud apna rah-numa aap hi banega lahu
suno tumhaare gareban bhi nahin mahfuz
daro tumhaara bhi ek din hisab lega lahu
agar na ahd kiya hum ne ek hone ka
ghanim sab ka yunhi bechta rahega lahu
kabhi kabhi mere bachche bhi mujh se puchhte hain
kahan tak aur tu khushk apna hi karega lahu
sada kaha yahi main ne qarib-tar hai wo dur
ki jis mein koi hamara na pi sakega lahu

92599 viewsghazal • English