bayan ai ham-nashin gham ki hikayat aur ho jati zara hum khasta-haalon ki tabiat aur ho jati nasihat hazrat-e-waiz ki sunte bhi to kya hota yahi hota ki hum ko un se wahshat aur ho jati bahut achchha hua aansu na nikle meri aankhon se bapa mahfil mein ek taza qayamat aur ho jati tadap kar dil ne manzil par mujhe chaunka diya warna khuda jaane ki tai kitni masafat aur ho jati tumhaare nam se hai bekason ka nam wabasta bula lete agar dar par to nisbat aur ho jati bahut saste rahe nichi nazar se dil liya tum ne agar nazren bhi mil jatin to qimat aur ho jati sharaf bakhsha hai tum ne aaj mujh ko ham-kalami ka kahun kuchh dil ki baat itni ijazat aur ho jati zahe qismat nawaza hai jawab-e-khat se 'wasif' ko dikhate ek jhalak itni inayat aur ho jati