bayan-e-shauq ko mafhum se juda na kare sada wahi hai jo lafzon ko be-sada na kare kiran kiran ne sambhal kar ye hum ko dars diya misal-e-ashk koi aankh se gira na kare hawa ke jhonkon se khushbu ke parde hilte hain harim-e-lala-o-gul mein koi chhupa na kare hamari aankhen shab-o-roz jaise jalti hain koi charagh jale bhi to yun jala na kare hamein charagh bhi hain aur hamein hawa bhi hain hamari zist pe ab koi tabsira na kare badhegi aur bhi kuchh faslon ki tanhai jo tez-gam hai wo rah mein ruka na kare tere khayal teri yaad mein jo guzra hai kabhi wo lamha kisi ja pe aashiyana kare sada-e-gham se larazti hai zindagi 'mutrib' lachakti shakh se bhi phul ab gira na kare