bayan mein tere har tarz-e-bayan gum
By anjum-rumaniOctober 25, 2020
bayan mein tere har tarz-e-bayan gum
fasane mein mere har dastan gum
na hum gum hain na tera aastan gum
magar kuchh silsila hai darmiyan gum
ajab andaz-e-az-khud-raftagi hai
bhari mahfil mein sab ke darmiyan gum
rahi sahra-ba-sahra teri manzil
hue manzil-ba-manzil karwan gum
rawana karwan salar napaid
safina baad-e-paima baadban gum
qarib-o-dur wahm-e-na-rasai
kabhi manzil kabhi khud karwan gum
hue 'anjum' sahar ki justuju mein
misal-e-lukka-e-abr-e-rawan gum
fasane mein mere har dastan gum
na hum gum hain na tera aastan gum
magar kuchh silsila hai darmiyan gum
ajab andaz-e-az-khud-raftagi hai
bhari mahfil mein sab ke darmiyan gum
rahi sahra-ba-sahra teri manzil
hue manzil-ba-manzil karwan gum
rawana karwan salar napaid
safina baad-e-paima baadban gum
qarib-o-dur wahm-e-na-rasai
kabhi manzil kabhi khud karwan gum
hue 'anjum' sahar ki justuju mein
misal-e-lukka-e-abr-e-rawan gum
58113 viewsghazal • English