baz aa baad-e-bahaaran ye shararat kya hai

By betab-amrohviFebruary 26, 2024
baz aa baad-e-bahaaran ye shararat kya hai
dekh to nargis-e-bimar ki haalat kya hai
us ne bhi ‘aks-e-rukh-e-yar ki jurat ki thi
dekhiye haalat-e-aina-e-hairat kya hai


tujh ko wa'iz meri dozakh ka koi 'ilm nahin
mujh ko ma'lum hai lekin teri jannat kya hai
tu mere pesh-e-nazar ho jo tasawwur mein to bas
meri nazron mein zamane ki haqiqat kya hai


aaj wo mail-e-sad-lutf-o-karam hain 'betab'
kash main jaanta ki wajh-e-'inayat kya hai
77364 viewsghazalEnglish